Home > Muslim Saleem > Muslim Saleem, ek qata aur chand ashaar, June 28, 2013

Muslim Saleem, ek qata aur chand ashaar, June 28, 2013

Ek qata aur chand ashaar, June 28, 2013Aaj sandooq se daireena zamaane nikle

Diary kholi to yaadon ke khazaane nikle

Aise maazi ki phuaron men sharabor huey

Jaise bachcha koi baarish mein nahaane inkle

……………Baaqi asha’ar………………………

Log afasurdaa they ham unko hansaane nikle

Aaj phir zakhm zamaane ko dikhaane nikle

Waada-e-wasl kuchh is tarh nibhaane nikle

Apne ghar se wo saheli ke bahaane nikle

Log phirte hain yahaan bhes badal kar Muslim

Shakl-e-darwesh men ab kaun na-jaane nikle

 

Categories: Muslim Saleem
  1. June 28, 2013 at 12:51 pm

    FACEBOOK COMMENTS
    Babur Ali Asad
    w a a a a a h kiya Khubsurat Radeef ista,al kiya hay or Qafiya or Radeef k Tlazmay nay behtreen bana diya hay ghazl koi bohat si Daaaad

    Haris Bilal
    waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah kiya baaat hy sir……….. boht khobsurat Mashallah………..

    Shayar Ashok Mizaj Badr
    wah wah maza aagaya

    Gayas Pasha Jagirdar
    wah

    Ziyad Hussain
    bhut khub

    Farhan Mirza
    bahot khub Janab

    Naz Muzaffarabadi
    Wah bohat khoob

    Adnan Bin Zia
    waah waaah masha alllah la jawab sir

    Azhar Iqbal Azhar صورت ِ درویش مستعمل ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔باقی بہت عمدہ اشعار ہیں۔۔۔۔۔۔۔لاجواب

    Javed Mansuri
    bahuthi khoobsurat line….likhi hai….gud 1..

    Zareena Khan
    bohat umda ………… kya kehne

    Majeed Taj Baloch
    Bahut umda. Bahut khoob

    Log afsurdaa they ham
    unko hansaane nikle

    Majeed Taj Baloch
    Maqtah to laajawab hay sir.
    Log phirte hain yahaan
    bhes badal kar Muslim Shakl-e-darwesh men ab
    kaun na-jaane nikle

    Kaamran Zia s
    ubhan allah

    Sher Bahadur Akhtar baut
    umda,,,kiya kehne…..matla aur makte to lajawab hai,,

    Abu Obaida Azmi
    Waah bahot khoob

    Iftikhar Falak
    Umda Muslim Bhai…. G.o… bht G.o

    Suhail Ahmad Azmi •
    bahut umda sher hai ap ka waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah

  2. June 29, 2013 at 6:30 am

    Kiran Sadiq
    nice

    Kamil Janetvi Bahooooot khubsurat , laajawab aur meyari . Zindabad .

    Faiyaz Rashk
    waaah bohat umdaaa

    Faisal Nawaz
    Log afasurdaa they ham unko hansaane nikle
    Aaj phir zakhm zamaane ko dikhaane nikle
    wah wah wah wah ustad e mohtram Muslim Saleem sir aap ka sher kehta hai woh laug jo hamesha meri tazheeq o takzeeb mein lgay rehtay thay shayed thak gae thay apni iss aadat kay jari rehnay say aaj mein intehaaei zaboon haal ho kar aaya hoon kay inn kay hansanay ka saamaan ho jae………….subhaan Allah

    Ubaidur Rahman Makki
    Khoob

    Syed Zia Rizvi
    Kya xoob aur lajawaab kalam hai janab bhai Muslim Saleem Sb.

  3. June 29, 2013 at 6:43 am

    Sohail Ahmed Siddiqui says:
    June 28, 2013 at 1:32 pm (Edit)

    واہ واہ…..لہجے کی تازگی اور کلاسیک کا مزہ …کیا کہنے

    muslimsaleem says:
    Bahut shukiriya Sohail Ahmed Siddiqui sb

  1. June 28, 2013 at 12:54 pm
  2. June 28, 2013 at 1:01 pm

Leave a reply to urdunewsblog Cancel reply